ilzam kuchh na kuchh to mere sar bhi aaega
ilzām kuchh na kuchh to mire sar bhī aa.egā
āñgan meñ peḌ hogā to patthar bhī aa.egā
sūraj ke ġhusl karne kā manzar bhī aa.egā
in jañgaloñ ke ba.ad samundar bhī aa.egā
sāmāñ jarāhatoñ ke bhī ham saath le chaleñ
is rāste meñ shahr-e-sitamgar bhī aa.egā
vo saañp jis ko duudh pilātī hai dushmanī
thailī se ek roz vo bāhar bhī aa.egā
palkoñ pe apnī ḳhvāb-e-tajallī sajā.iye
shaam aa.ī hai to raat kā lashkar bhī aa.egā
jo saaya kheltā hai abhī merī god meñ
ik din vo mere qad ke barābar bhī aa.egā
is dopahar kī dhuup ko shāyad ḳhabar nahīñ
sahrā meñ koī mom kā paikar bhī aa.egā
jab tum nahīñ to us kā bhī kyā kaam hai yahāñ
tum aaoge to bazm meñ 'qaisar' bhī aa.egā
ilzam kuchh na kuchh to mere sar bhi aaega
aangan mein peD hoga to patthar bhi aaega
suraj ke ghusl karne ka manzar bhi aaega
in jangalon ke baad samundar bhi aaega
saman jarahaton ke bhi hum sath le chalen
is raste mein shahr-e-sitamgar bhi aaega
wo sanp jis ko dudh pilati hai dushmani
thaili se ek roz wo bahar bhi aaega
palkon pe apni KHwab-e-tajalli sajaiye
sham aai hai to raat ka lashkar bhi aaega
jo saya khelta hai abhi meri god mein
ek din wo mere qad ke barabar bhi aaega
is dopahar ki dhup ko shayad KHabar nahin
sahra mein koi mom ka paikar bhi aaega
jab tum nahin to us ka bhi kya kaam hai yahan
tum aaoge to bazm mein 'qaisar' bhi aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.