imkan se pare kar-e-hunar karta chala jaun
imkāñ se pare kār-e-hunar kartā chalā jā.ūñ
jo sang mile us ko guhar kartā chalā jā.ūñ
be-samt-o-nishāñ azm-e-safar bāñdh ke uTThūñ
tasḳhīr na.ī rāhguzar kartā chalā jā.ūñ
har gaam pe ta.amīr karūñ ek makāñ maiñ
phir saare makānoñ ko khañDar kartā chalā jā.ūñ
aa jā.ūñ agar maskan-e-auhām se bāhar
har mamlikat-e-ḳhvāb ko sar kartā chalā jā.ūñ
kar duuñ shab-e-tārīk ko sho.aloñ ke havāle
shāmoñ ko ham-āġhosh-e-sahar kartā chalā jā.ūñ
abvāb-e-ufuq mujh pe agar khulte chale jaa.eñ
ik saañs na luuñ yūñhī safar kartā chalā jā.ūñ
ḳhāroñ kī ziyāfat kā to sāmān kiyā hai
sahrā ke lab-e-ḳhushk bhī tar kartā chalā jā.ūñ
imkan se pare kar-e-hunar karta chala jaun
jo sang mile us ko guhar karta chala jaun
be-samt-o-nishan azm-e-safar bandh ke uTThun
tasKHir nai rahguzar karta chala jaun
har gam pe tamir karun ek makan main
phir sare makanon ko khanDar karta chala jaun
aa jaun agar maskan-e-auham se bahar
har mamlikat-e-KHwab ko sar karta chala jaun
kar dun shab-e-tarik ko shoalon ke hawale
shamon ko ham-aghosh-e-sahar karta chala jaun
abwab-e-ufuq mujh pe agar khulte chale jaen
ek sans na lun yunhi safar karta chala jaun
KHaron ki ziyafat ka to saman kiya hai
sahra ke lab-e-KHushk bhi tar karta chala jaun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.