imtihan apne jafa-kash ka use manzur tha
imtihan apne jafa-kash ka use manzur tha
Mirza Mohammad Ali Fidvi
MORE BYMirza Mohammad Ali Fidvi
imtihāñ apne jafā-kash kā use manzūr thā
varna maiñ nazdīk thā furqat meñ kyā kuchh duur thā
pūchhe hai āshiq kī apnī dekh kar turbat ko kyā
kushtgān-e-ishq se ye bhī koī maġhfūr thā
mudda.ā thā ham se bhaḌkānā use bāteñ sunā
ḳhair-ḳhvāhī kā hamārī us meñ kyā mazkūr thā
marte-marte abr ko hargiz na muñh chaḌhne diyā
āfrīñ ai chashm-e-tar terā hī ye maqdūr thā
mai-parastoñ ne tire yuuñ bhī na jaanā kaun hai
shaiḳh go shaitān se zyāda yahāñ mash.hūr thā
tīra-baḳhtān-e-asīr-e-zulf kī apne na pūchh
roz-o-shab yaañ ek hai din bhī shab-e-dījūr thā
be-qarārī dil kī le aa.ī galī meñ terī yaar
us ko hāthoñ kyā karūñ nā-chār thā majbūr thā
vasl meñ bhī haa.e apne jī kī jī meñ hī rahī
kuchh na kahne paa.e 'fidvī' vo nashe meñ chuur thā
imtihan apne jafa-kash ka use manzur tha
warna main nazdik tha furqat mein kya kuchh dur tha
puchhe hai aashiq ki apni dekh kar turbat ko kya
kushtgan-e-ishq se ye bhi koi maghfur tha
muddaa tha hum se bhaDkana use baaten suna
KHair-KHwahi ka hamari us mein kya mazkur tha
marte-marte abr ko hargiz na munh chaDhne diya
aafrin ai chashm-e-tar tera hi ye maqdur tha
mai-paraston ne tere yun bhi na jaana kaun hai
shaiKH go shaitan se zyaada yahan mashhur tha
tira-baKHtan-e-asir-e-zulf ki apne na puchh
roz-o-shab yan ek hai din bhi shab-e-dijur tha
be-qarari dil ki le aai gali mein teri yar
us ko hathon kya karun na-chaar tha majbur tha
wasl mein bhi hae apne ji ki ji mein hi rahi
kuchh na kahne pae 'fidwi' wo nashe mein chur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.