imtiyaz-e-besh-o-kam se dur hai
imtiyāz-e-besh-o-kam se duur hai
dil mohabbat ke nashe meñ chuur hai
ġham uThā kar bhī baḌā masrūr hai
kis qadar saada dil-e-ranjūr hai
ek musht-e-ḳhāk hai us kā vajūd
aadmī kis baat par maġhrūr hai
us ke aage ek bhī chaltī nahīñ
dil ke hāthoñ har koī majbūr hai
husn ko go naaz hai ḳhud par magar
ishq bhī apnī jagah maġhrūr hai
hazrat-e-'āsī' kī bābat kyā kaheñ
shā.ir achchhā hai magar maġhrūr hai
imtiyaz-e-besh-o-kam se dur hai
dil mohabbat ke nashe mein chur hai
gham uTha kar bhi baDa masrur hai
kis qadar sada dil-e-ranjur hai
ek musht-e-KHak hai us ka wajud
aadmi kis baat par maghrur hai
us ke aage ek bhi chalti nahin
dil ke hathon har koi majbur hai
husn ko go naz hai KHud par magar
ishq bhi apni jagah maghrur hai
hazrat-e-'asi' ki babat kya kahen
shair achchha hai magar maghrur hai
- Book : زندگی کے مارے لوگ (Pg. 41)
- Author : ودیا رتن آسی
- Publication : چیتن پرکاشن،پنجابی بھون،لدھیانہ (2017)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.