imtiyaz-e-gham-o-KHushi na raha
imtiyāz-e-ġham-o-ḳhushī na rahā
koī ehsās-e-zindagī na rahā
ham ne ai dil tujhe bhī dekh liyā
ab tirā e'tibār bhī na rahā
un se kahte ḳhirad kā afsāna
kyā kaheñ ham ko hosh hī na rahā
justujū meñ tirī talab meñ tirī
mujh ko terā ḳhayāl bhī na rahā
ḳhud se rahtā huuñ be-ḳhabar lekin
aap se be-ḳhabar kabhī na rahā
aap ke ba.ad zindagī to rahī
haañ magar lutf-e-zindagī na rahā
ab to aa jā ki tere 'nashtar' ko
ab tirā intizār bhī na rahā
imtiyaz-e-gham-o-KHushi na raha
koi ehsas-e-zindagi na raha
hum ne ai dil tujhe bhi dekh liya
ab tera e'tibar bhi na raha
un se kahte KHirad ka afsana
kya kahen hum ko hosh hi na raha
justuju mein teri talab mein teri
mujh ko tera KHayal bhi na raha
KHud se rahta hun be-KHabar lekin
aap se be-KHabar kabhi na raha
aap ke baad zindagi to rahi
han magar lutf-e-zindagi na raha
ab to aa ja ki tere 'nashtar' ko
ab tera intizar bhi na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.