in buton se jo rah-o-rasm hai jari rakhna
in butoñ se jo rah-o-rasm hai jaarī rakhnā
ai ḳhudā-vand-e-jahāñ baat hamārī rakhnā
pālkī aur janāze meñ nahīñ aisā farq
jo nibhe gor tak ai dil vo savārī rakhnā
ai ġham-o-dard-o-alam aish-e-jahāñ faanī hai
kaam aa.egā mulāqāt tumhārī rakhnā
gulshan-e-husn-e-butāñ phūle phale yā-allāh
is chaman meñ asar-e-bād-e-bahārī rakhnā
chashm-e-bulbul kā kamar-band rag-e-gul sī kamar
gul-badan kī tumheñ zebā hai kaTārī rakhnā
āshnā dost nahīñ bahr-e-fanā ai mun.im
chashma-e-faiz hai daulat ise jaarī rakhnā
dil kī tāqat ghaTe yā nuur ghaTe āñkhoñ se
chāhiye ḳhātir-e-pur-nūr tumhārī rakhnā
laakh ahbāb satā.eñ lab-e-shikva na khuleñ
madad ai hausla tū baat hamārī rakhnā
hamīñ barsoñ rahe haiñ tere liye ḳhāna-ba-dosh
kuchh jagah dil meñ jo rakhnā to hamārī rakhnā
ham se bāteñ raheñ auroñ se rahe ḳhāmoshī
itnī ai ġhuncha-dahan baat hamārī rakhnā
vo muvahhid huuñ ki din raat hai rāziq se duā
ek sarkār se rozī mirī jaarī rakhnā
sar-e-hāsid ke liye teġh-e-zabāñ kaafī hai
mujh meñ aadat mire ustād kī jaarī rakhnā
'rashk' jab tak rahe mahmūd rahe duniyā meñ
aabrū bande kī ai hazrat-e-bārī rakhnā
in buton se jo rah-o-rasm hai jari rakhna
ai KHuda-wand-e-jahan baat hamari rakhna
palki aur janaze mein nahin aisa farq
jo nibhe gor tak ai dil wo sawari rakhna
ai gham-o-dard-o-alam aish-e-jahan fani hai
kaam aaega mulaqat tumhaari rakhna
gulshan-e-husn-e-butan phule phale ya-allah
is chaman mein asar-e-baad-e-bahaari rakhna
chashm-e-bulbul ka kamar-band rag-e-gul si kamar
gul-badan ki tumhein zeba hai kaTari rakhna
aashna dost nahin bahr-e-fana ai munim
chashma-e-faiz hai daulat ise jari rakhna
dil ki taqat ghaTe ya nur ghaTe aankhon se
chahiye KHatir-e-pur-nur tumhaari rakhna
lakh ahbab sataen lab-e-shikwa na khulen
madad ai hausla tu baat hamari rakhna
hamin barson rahe hain tere liye KHana-ba-dosh
kuchh jagah dil mein jo rakhna to hamari rakhna
hum se baaten rahen auron se rahe KHamoshi
itni ai ghuncha-dahan baat hamari rakhna
wo muwahhid hun ki din raat hai raaziq se dua
ek sarkar se rozi meri jari rakhna
sar-e-hasid ke liye tegh-e-zaban kafi hai
mujh mein aadat mere ustad ki jari rakhna
'rashk' jab tak rahe mahmud rahe duniya mein
aabru bande ki ai hazrat-e-bari rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.