in dinon haq jo baat kahte hain
Interesting Fact
(January 1938) (Rampur)
in dinoñ haq jo baat kahte haiñ
jaan se dho ke haat kahte haiñ
husn ko nūr-e-zāt kahte haiñ
ishq kī kā.enāt kahte haiñ
dil ko jo be-sabāt kahte haiñ
din ko goyā vo raat kahte haiñ
jis kī me.arāj ḳhud-shanāsī ho
ham use vasl-e-zāt kahte haiñ
un kī himmat pe āfrīñ kahiye
jo ajal ko hayāt kahte haiñ
jaan kā jism se judā honā
kyā isī ko najāt kahte haiñ
ka.aba-e-dil hai jalva-gāh-e-butāñ
ham ise somnāt kahte haiñ
hue jaate haiñ aap kyuuñ barham
ham zamāne kī baat kahte haiñ
nigah-e-qahr ko bhī dil vaale
nigah-e-iltifāt kahte haiñ
tum par apnā gumān hotā hai
tum se jab dil kī baat kahte haiñ
bāda-e-ḳhush-gavār hai saaqī
jise āb-e-hayāt kahte haiñ
kyā hameñ guftugū se matlab thā
baat aane pe baat kahte haiñ
jauhar-e-rūh kā pasīna hai
jise itr-e-hayāt kahte haiñ
mas nahīñ kuchh jinheñ taġhazzul se
falsafe ke nikāt kahte haiñ
multafit apnī samt karnā hai
tumheñ be-iltifāt kahte haiñ
aib jin ke hunar se hoñ 'tālib'
unheñ aalī sifāt kahte haiñ
in dinon haq jo baat kahte hain
jaan se dho ke hat kahte hain
husn ko nur-e-zat kahte hain
ishq ki kaenat kahte hain
dil ko jo be-sabaat kahte hain
din ko goya wo raat kahte hain
jis ki mearaj KHud-shanasi ho
hum use wasl-e-zat kahte hain
un ki himmat pe aafrin kahiye
jo ajal ko hayat kahte hain
jaan ka jism se juda hona
kya isi ko najat kahte hain
kaba-e-dil hai jalwa-gah-e-butan
hum ise somnat kahte hain
hue jate hain aap kyun barham
hum zamane ki baat kahte hain
nigah-e-qahr ko bhi dil wale
nigah-e-iltifat kahte hain
tum par apna guman hota hai
tum se jab dil ki baat kahte hain
baada-e-KHush-gawar hai saqi
jise aab-e-hayat kahte hain
kya hamein guftugu se matlab tha
baat aane pe baat kahte hain
jauhar-e-ruh ka pasina hai
jise itr-e-hayat kahte hain
mas nahin kuchh jinhen taghazzul se
falsafe ke nikat kahte hain
multafit apni samt karna hai
tumhein be-iltifat kahte hain
aib jin ke hunar se hon 'talib'
unhen aali sifat kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.