in dinon har shahr ka naqsha bayabani to hai
in dinoñ har shahr kā naqsha bayābānī to hai
haiñ dar-o-dīvār lekin phir bhī vīrānī to hai
hai qabā-e-gul bahar-sūrat bahāroñ kī naqīb
laakh zanjīreñ na hoñ par chāk-dāmānī to hai
ye alag hai dostoñ ke naam le sakte nahīñ
ham ne apne qātiloñ kī shakl pahchānī to hai
har havas-pesha ne apnāyā hai sheva ishq kā
husn kī bāzār meñ har samt arzānī to hai
qatl kar ke bhī yahāñ nādim nahīñ hote haiñ log
us ne dil toḌā magar us ko pashemānī to hai
ishq meñ ham ne matā.a-e-zindagānī phūñk dī
aql vāloñ kī nazar meñ ye bhī nādānī to hai
sab se chhup saktā hai lekin ḳhud se chhup saktā nahīñ
yaanī tere har amal par ik nigahbānī to hai
sab gunāhoñ kā ta'alluq jism kī miTTī se hai
aur ibrat-gāh-e-hastī meñ badan faanī to hai
husn-e-fitrat ke liye bhī shart hai sharm-o-hijāb
gul ke hoñToñ par hañsī aur aañkh meñ paanī to hai
sach to ye hai qā.id-e-millat kī har taqrīr meñ
maslahat ke naam par kuchh kuchh sanā-ḳhvānī to hai
sirf yak-tarfa nahīñ apne junūñ kī dāstāñ
maiñ huā dīvāna lekin vo bhī dīvānī to hai
kuchh na kuchh to jhāñktā hai pairahan kī oT se
satr-poshī meñ bhī shāmil thoḌī uryānī to hai
haq-parastoñ ke liye dushvār hai duniyā magar
ik sutūn-e-dār tak jaane meñ āsānī to hai
saare rishte munqata.a vo kar chukā ham se 'nasīm'
ik ta'alluq phir bhī us se apnā insānī to hai
in dinon har shahr ka naqsha bayabani to hai
hain dar-o-diwar lekin phir bhi virani to hai
hai qaba-e-gul bahar-surat bahaaron ki naqib
lakh zanjiren na hon par chaak-damani to hai
ye alag hai doston ke nam le sakte nahin
hum ne apne qatilon ki shakl pahchani to hai
har hawas-pesha ne apnaya hai shewa ishq ka
husn ki bazar mein har samt arzani to hai
qatl kar ke bhi yahan nadim nahin hote hain log
us ne dil toDa magar us ko pashemani to hai
ishq mein hum ne mataa-e-zindagani phunk di
aql walon ki nazar mein ye bhi nadani to hai
sab se chhup sakta hai lekin KHud se chhup sakta nahin
yani tere har amal par ek nigahbani to hai
sab gunahon ka ta'alluq jism ki miTTi se hai
aur ibrat-gah-e-hasti mein badan fani to hai
husn-e-fitrat ke liye bhi shart hai sharm-o-hijab
gul ke honTon par hansi aur aankh mein pani to hai
sach to ye hai qaid-e-millat ki har taqrir mein
maslahat ke nam par kuchh kuchh sana-KHwani to hai
sirf yak-tarfa nahin apne junun ki dastan
main hua diwana lekin wo bhi diwani to hai
kuchh na kuchh to jhankta hai pairahan ki oT se
satr-poshi mein bhi shamil thoDi uryani to hai
haq-paraston ke liye dushwar hai duniya magar
ek sutun-e-dar tak jaane mein aasani to hai
sare rishte munqata wo kar chuka hum se 'nasim'
ek ta'alluq phir bhi us se apna insani to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.