in ghaTaon mein ujale ka basera hi sahi
in ghaTāoñ meñ ujāle kā baserā hī sahī
ḳhair agar aap ba-zid haiñ to saverā hī sahī
ai ġham-e-zīst bulātī haiñ mahaktī zulfeñ
aaj kī raat ye pur-nūr añdherā hī sahī
dil meñ jo aag lagī hai vo kahāñ bujhtī hai
raah shādāb sahī abr ghanerā hī sahī
hoshiyār ahl-e-ḳhirad ḳhāk-nashīñ aa pahuñche
aap ke zo.am kā aflāk pe Derā hī sahī
tū pareshān na ho ḳhāliq-e-firdaus-e-barīñ
ye jahannam ye jahāñ aaj se merā hī sahī
kitnī yādeñ haiñ ki nāgin kī tarah Dastī haiñ
'nūr' un galiyoñ kā ik āḳhirī pherā hī sahī
in ghaTaon mein ujale ka basera hi sahi
KHair agar aap ba-zid hain to sawera hi sahi
ai gham-e-zist bulati hain mahakti zulfen
aaj ki raat ye pur-nur andhera hi sahi
dil mein jo aag lagi hai wo kahan bujhti hai
rah shadab sahi abr ghanera hi sahi
hoshiyar ahl-e-KHirad KHak-nashin aa pahunche
aap ke zoam ka aflak pe Dera hi sahi
tu pareshan na ho KHaliq-e-firdaus-e-barin
ye jahannam ye jahan aaj se mera hi sahi
kitni yaaden hain ki nagin ki tarah Dasti hain
'nur' un galiyon ka ek aaKHiri phera hi sahi
- Book : Noquush (Pg. B-371 E-385)
- Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954)
- Edition : May June 1954
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.