in hasraton ki lash ko dafna raha hun main
in hasratoñ kī laash ko dafnā rahā huuñ maiñ
ai zindagī qarīb tire aa rahā huuñ maiñ
dushman bhī ho to hañs ke lagā.ūñ use gale
tanhā.iyoñ se is qadar uktā rahā huuñ maiñ
nazreñ churā.e mujh se nikalte haiñ bā-ḳhudā
fitna-garoñ kī aañkh kā kāñTā rahā huuñ maiñ
āvārgī na kaam kuchh aa.egī be-shu.ūr
ḳhāna-ba-dosh dil ko ye samjhā rahā huuñ maiñ
rotī rahī hai chashm-e-pur-ummīd nisf shab
pahroñ tire ḳhayāl se uljhā rahā huuñ maiñ
āzād huuñ maiñ Thiik se pahchāniye mujhe
be-chehragī kā aap kī chehra rahā huuñ maiñ
in hasraton ki lash ko dafna raha hun main
ai zindagi qarib tere aa raha hun main
dushman bhi ho to hans ke lagaun use gale
tanhaiyon se is qadar ukta raha hun main
nazren churae mujh se nikalte hain ba-KHuda
fitna-garon ki aankh ka kanTa raha hun main
aawargi na kaam kuchh aaegi be-shuur
KHana-ba-dosh dil ko ye samjha raha hun main
roti rahi hai chashm-e-pur-ummid nisf shab
pahron tere KHayal se uljha raha hun main
aazad hun main Thik se pahchaniye mujhe
be-chehragi ka aap ki chehra raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.