in husn ke maron ke gham-KHane hazaron hain
in husn ke maron ke gham-KHane hazaron hain
Mohammad Bin Hasan Sharar
MORE BYMohammad Bin Hasan Sharar
in husn ke māroñ ke ġham-ḳhāne hazāroñ haiñ
ik jumbish-e-abrū meñ paimāne hazāroñ haiñ
kab hosh-o-ḳhirad vaale karte haiñ nazar un par
chhalke hue mastī meñ paimāne hazāroñ haiñ
haañ naqsh-e-kaf-e-pā ko tū ḳhud hī miTā denā
ushshāq ke sajdoñ ko but-ḳhāne hazāroñ haiñ
kyoñ qais ko le baiThe tum hosh-o-ḳhirad vaale
sahrā-e-mohabbat meñ dīvāne hazāroñ haiñ
hai kis kī nigāhoñ kā jaadū ye 'sharār' āḳhir
dīvānoñ meñ jab shāmil farzāne hazāroñ haiñ
in husn ke maron ke gham-KHane hazaron hain
ek jumbish-e-abru mein paimane hazaron hain
kab hosh-o-KHirad wale karte hain nazar un par
chhalke hue masti mein paimane hazaron hain
han naqsh-e-kaf-e-pa ko tu KHud hi miTa dena
ushshaq ke sajdon ko but-KHane hazaron hain
kyon qais ko le baiThe tum hosh-o-KHirad wale
sahra-e-mohabbat mein diwane hazaron hain
hai kis ki nigahon ka jadu ye 'sharar' aaKHir
diwanon mein jab shamil farzane hazaron hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.