in jhilmilate chand sitaron ki chhanw mein
in jhilmilāte chāñd sitāroñ kī chhāñv meñ
dhīme suroñ meñ gaa.e jo bābul to ham suneñ
āñgan meñ tere phuul rahī hogī kāmanī!
jī chāhtā hai aaj baserā vahīñ kareñ
ye chāñd aaj ugā hai baḌī aarzū ke ba.ad
aao mai-e-nashāt piyeñ ġham ġhalat kareñ
apnī suhāg-rāt kabhī bhūltīñ nahīñ
mere hasīñ dayār kī sharmīlī aurteñ
rañg-e-hinā se surḳh rahīñ un kī uñgliyāñ
ai kaash saarī umr vo dūlhan banī raheñ
pyāre haiñ aaj ham bhī bahut der se niDhāl
tum bhī thake hue ho chalo aao so raheñ
jaane hai kaun mahv-e-safar aadhī raat ko
jaane ye kis kī duur se aatī haiñ āhaTeñ
ham ko bulā liyā karo bāteñ kiyā karo
dil meñ tumhāre dard ke tūfān jab uTheñ
uftādgān-e-rāh ke dil par lagegī choT
manzil pe jā ke qāfile āvāz yuuñ na deñ
tum ne tamām baaġh ko vīrān kar diyā
īñdhan ke tājiro ye papīhe kahāñ raheñ
har marhala pe 'daurāñ' hameñ un kī ho talāsh
har manzil-e-hayāt pe un kā hī naam leñ
in jhilmilate chand sitaron ki chhanw mein
dhime suron mein gae jo babul to hum sunen
aangan mein tere phul rahi hogi kaamani!
ji chahta hai aaj basera wahin karen
ye chand aaj uga hai baDi aarzu ke baad
aao mai-e-nashat piyen gham ghalat karen
apni suhag-raat kabhi bhultin nahin
mere hasin dayar ki sharmili aurten
rang-e-hina se surKH rahin un ki ungliyan
ai kash sari umr wo dulhan bani rahen
pyare hain aaj hum bhi bahut der se niDhaal
tum bhi thake hue ho chalo aao so rahen
jaane hai kaun mahw-e-safar aadhi raat ko
jaane ye kis ki dur se aati hain aahaTen
hum ko bula liya karo baaten kiya karo
dil mein tumhaare dard ke tufan jab uThen
uftadgan-e-rah ke dil par lagegi choT
manzil pe ja ke qafile aawaz yun na den
tum ne tamam bagh ko viran kar diya
indhan ke tajiro ye papihe kahan rahen
har marhala pe 'dauran' hamein un ki ho talash
har manzil-e-hayat pe un ka hi nam len
- Book : Lamhon Ki Aawaz (Pg. 224)
- Author : Owais Ahmad Dauran
- Publication : label litho press Ramna Road Patna-4 (1974)
- Edition : 1974
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.