in pattharon ke shahr mein dil ka guzar kahan
in pattharoñ ke shahr meñ dil kā guzar kahāñ
le jaa.eñ ham uThā ke ye shīshe kā ghar kahāñ
ham apnā naam le ke ḳhud apne hī shahr meñ
ghar ghar pukār aa.e khulā koī dar kahāñ
jaise har ek dar pe ḳhamoshī kā qufl ho
ab gūñjtī hai shahr meñ zanjīr-e-dar kahāñ
har vaqt sāmne thā samundar ḳhulūs kā
lekin kisī ne dekhā kabhī Duub kar kahāñ
jo chāho bhī to jism se nikloge kis tarah
mahbas meñ saañs ke koī dīvār-o-dar kahāñ
is saḳht dopahar meñ kahāñ jā ke baiThiye
rāhoñ meñ duur tak 'sabā' koī shajar kahāñ
in pattharon ke shahr mein dil ka guzar kahan
le jaen hum uTha ke ye shishe ka ghar kahan
hum apna nam le ke KHud apne hi shahr mein
ghar ghar pukar aae khula koi dar kahan
jaise har ek dar pe KHamoshi ka qufl ho
ab gunjti hai shahr mein zanjir-e-dar kahan
har waqt samne tha samundar KHulus ka
lekin kisi ne dekha kabhi Dub kar kahan
jo chaho bhi to jism se nikloge kis tarah
mahbas mein sans ke koi diwar-o-dar kahan
is saKHt dopahar mein kahan ja ke baiThiye
rahon mein dur tak 'saba' koi shajar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.