in salibon ke dar ke mani
in salīboñ ke daar ke ma.anī
maiñ samajhtā huuñ pyaar ke ma.anī
reshmī bāzuoñ meñ khilte haiñ
ek dilkash hisār ke ma.anī
abrū-e-nīm-kash se vābasta
teġh tarkash kaTār ke ma.anī
ek ġhuncha-dahan ke hoñToñ par
khil rahe haiñ bahār ke ma.anī
ham bhī ahd-e-sitam ke bāġhī haiñ
ham se zinda haiñ ġhaar ke ma.anī
būḌhā bargad udaas pagDanDī
sar-tā-pā intizār ke ma.anī
in salibon ke dar ke mani
main samajhta hun pyar ke mani
reshmi bazuon mein khilte hain
ek dilkash hisar ke mani
abru-e-nim-kash se wabasta
tegh tarkash kaTar ke mani
ek ghuncha-dahan ke honTon par
khil rahe hain bahaar ke mani
hum bhi ahd-e-sitam ke baghi hain
hum se zinda hain ghaar ke mani
buDha bargad udas pagDanDi
sar-ta-pa intizar ke mani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.