in tanon mein in tashnion mein poshida koi mafhum to ho
in tanon mein in tashnion mein poshida koi mafhum to ho
Sufia Anjum Taj
MORE BYSufia Anjum Taj
in ta.anoñ meñ in tashnī.oñ meñ poshīda koī mafhūm to ho
kis baat kā ham se shikva hai vo baat hameñ mālūm to ho
maiñ ḳhūn-e-jigar se kāġhaz par kuchh naqsh banātī rahtī huuñ
haañ tujh se koī mansūb to ho haañ tujh se koī mausūm to ho
vo log jo bhole-bhāle the dil vaale mohabbat vaale the
kis des meñ aise log haiñ ab vo des hameñ mālūm to ho
haiñ sher-o-suḳhan mahfil meñ bahut vo sher-o-suḳhan ham kyā jāneñ
jo sher-o-suḳhan thī zaat tirī vo sher-o-suḳhan manzūm to ho
vo log jo pahle jiite the kyā pyāre aur chahete the
vo rāteñ zinda logoñ kī ham murdoñ kā maqsūm to ho
lafzoñ meñ tirī yādoñ kī chamak ma.anī meñ tirī furqat kī lahak
is hiile aur bahāne se kuchh merī ġhazal kī dhuum to hai
ik jashn hai chāñd sitāroñ kā ik jashn hai ġham ke māroñ kā
is jashn kā to hai shor bahut us jashn kī bhī kuchh dhuum to ho
'anjum' kī ġhazal kī tāsīreñ ḳhushiyoñ meñ kahāñ haath aatī haiñ
kuchh der zarā ġhamgīñ to rah kuchh der zarā maġhmūm to ho
in tanon mein in tashnion mein poshida koi mafhum to ho
kis baat ka hum se shikwa hai wo baat hamein malum to ho
main KHun-e-jigar se kaghaz par kuchh naqsh banati rahti hun
han tujh se koi mansub to ho han tujh se koi mausum to ho
wo log jo bhole-bhaale the dil wale mohabbat wale the
kis des mein aise log hain ab wo des hamein malum to ho
hain sher-o-suKHan mahfil mein bahut wo sher-o-suKHan hum kya jaanen
jo sher-o-suKHan thi zat teri wo sher-o-suKHan manzum to ho
wo log jo pahle jite the kya pyare aur chahete the
wo raaten zinda logon ki hum murdon ka maqsum to ho
lafzon mein teri yaadon ki chamak mani mein teri furqat ki lahak
is hile aur bahane se kuchh meri ghazal ki dhum to hai
ek jashn hai chand sitaron ka ek jashn hai gham ke maron ka
is jashn ka to hai shor bahut us jashn ki bhi kuchh dhum to ho
'anjum' ki ghazal ki tasiren KHushiyon mein kahan hath aati hain
kuchh der zara ghamgin to rah kuchh der zara maghmum to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.