inayat aap ki kuchh kam nahin hai
ināyat aap kī kuchh kam nahīñ hai
asīr-e-ġham huuñ lekin ġham nahīñ hai
maiñ bhūlūñ bhī tujhe to kaise bhūlūñ
tasavvur bhī tirā mub.ham nahīñ hai
bapā hai shor-e-mātam mere dil meñ
ba-zāhir aañkh merī nam nahīñ hai
ḳhirad kī vus.ateñ haiñ lā-makāñ tak
junūñ kī saltanat bhī kam nahīñ hai
chhalak bhī saktā hai hāthoñ meñ aa kar
ye jām-e-mai hai jām-e-jam nahīñ hai
inayat aap ki kuchh kam nahin hai
asir-e-gham hun lekin gham nahin hai
main bhulun bhi tujhe to kaise bhulun
tasawwur bhi tera mubham nahin hai
bapa hai shor-e-matam mere dil mein
ba-zahir aankh meri nam nahin hai
KHirad ki wusaten hain la-makan tak
junun ki saltanat bhi kam nahin hai
chhalak bhi sakta hai hathon mein aa kar
ye jam-e-mai hai jam-e-jam nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.