inayat ki sitamgar ne to ki mujh par jafa ke baad
ināyat kī sitamgar ne to kī mujh par jafā ke baad
ḳhabar zālim ne merī lī to lī vo bhī qazā ke baad
pashemāñ tum nahīñ hote mirī hastī miTā kar bhī
karoge yaad mujh ko tum bahut din tak fanā ke baad
payām-e-vasl le kar jā rahā hai nāma-bar merā
asar ho jaa.e shāyad kuchh udhar merī duā ke baad
ḳhafā ho kar vo ḳhud bhī mujh se ai 'bāsir' pareshāñ hai
kabhī jo hosh bhī aaya to aaya hai ḳhatā ke baad
inayat ki sitamgar ne to ki mujh par jafa ke baad
KHabar zalim ne meri li to li wo bhi qaza ke baad
pasheman tum nahin hote meri hasti miTa kar bhi
karoge yaad mujh ko tum bahut din tak fana ke baad
payam-e-wasl le kar ja raha hai nama-bar mera
asar ho jae shayad kuchh udhar meri dua ke baad
KHafa ho kar wo KHud bhi mujh se ai 'basir' pareshan hai
kabhi jo hosh bhi aaya to aaya hai KHata ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.