infiradi soch le kar sath raste bhar chale
infirādī soch le kar saath raste bhar chale
bhiiḌ meñ rahte hue bhī bhiiḌ se haT kar chale
ham-safar koī nahīñ thā phir ham thakte na the
saath apne ārzūoñ kā liye lashkar chale
rāstoñ se thī shanāsā.ī na manzil kī ḳhabar
chal paḌe to kab ruke azm-e-safar le kar chale
ham chale jāda-ba-jāda phuul barsāte hue
vaa.e qismat ham pe hī har raah meñ patthar chale
zindagī kī shaam hai ab qasd hai ghar kā 'payām'
shaam ko jaise parinde apne apne ghar chale
infiradi soch le kar sath raste bhar chale
bhiD mein rahte hue bhi bhiD se haT kar chale
ham-safar koi nahin tha phir hum thakte na the
sath apne aarzuon ka liye lashkar chale
raston se thi shanasai na manzil ki KHabar
chal paDe to kab ruke azm-e-safar le kar chale
hum chale jada-ba-jada phul barsate hue
wae qismat hum pe hi har rah mein patthar chale
zindagi ki sham hai ab qasd hai ghar ka 'payam'
sham ko jaise parinde apne apne ghar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.