inhin barbaadiyon ko karobar-e-zindagi kah lo
inhīñ barbādiyoñ ko kārobār-e-zindagī kah lo
mirī dīvāngī kyā hai zamāne kī ḳhushī kah lo
ġham-e-jānāñ ġham-e-duniyā na fikr-e-kaif-o-mastī hai
maiñ jis hālat meñ zinda huuñ tum us ko ḳhud-kushī kah lo
gunāhoñ ko tumhāre koī naam apnā nahīñ degā
mujhe ab apne afsāne kā harf-e-āḳhirī kah lo
dhaḌakte rahte haiñ ik dūsre ke dil meñ ham donoñ
hamārī itnī qurbat ko ba-faiz-e-dushmanī kah lo
milā huuñ ittifāqan hī chalā bhī jā.ūñgā 'rizvān'
kuredo mat ga.e vaqtoñ ko mujh ko ajnabī kah lo
inhin barbaadiyon ko karobar-e-zindagi kah lo
meri diwangi kya hai zamane ki KHushi kah lo
gham-e-jaanan gham-e-duniya na fikr-e-kaif-o-masti hai
main jis haalat mein zinda hun tum us ko KHud-kushi kah lo
gunahon ko tumhaare koi nam apna nahin dega
mujhe ab apne afsane ka harf-e-aKHiri kah lo
dhaDakte rahte hain ek dusre ke dil mein hum donon
hamari itni qurbat ko ba-faiz-e-dushmani kah lo
mila hun ittifaqan hi chala bhi jaunga 'rizwan'
kuredo mat gae waqton ko mujh ko ajnabi kah lo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.