inkar ke pahlu mein hai inkar kam-o-besh
inkār ke pahlū meñ hai inkār kam-o-besh
dīvār ke aage bhī hai dīvār kam-o-besh
dushman se rahā barsar-e-paikār maiñ tanhā
sab apnī bachāte rahe dastār kam-o-besh
ye mulk hunar vāloñ ke haq meñ nahīñ sāhib
ġhurbat meñ yahāñ marte haiñ fankār kam-o-besh
mahke hue ajsām meñ rahtā huuñ hamesha
rahtī hai mire chār-sū mahkār kam-o-besh
ye shahr kisī ḳhauf meñ rahtā hai musalsal
is shahr ke khulte nahīñ bāzār kam-o-besh
maiñ dekhne meñ dost parindoñ kī tarah huuñ
ab mujh se gale milte haiñ ashjār kam-o-besh
ab sub.h se 'mannān' nahīñ milnā milānā
ab der se hotā huuñ maiñ bedār kam-o-besh
inkar ke pahlu mein hai inkar kam-o-besh
diwar ke aage bhi hai diwar kam-o-besh
dushman se raha barsar-e-paikar main tanha
sab apni bachate rahe dastar kam-o-besh
ye mulk hunar walon ke haq mein nahin sahib
ghurbat mein yahan marte hain fankar kam-o-besh
mahke hue ajsam mein rahta hun hamesha
rahti hai mere chaar-su mahkar kam-o-besh
ye shahr kisi KHauf mein rahta hai musalsal
is shahr ke khulte nahin bazar kam-o-besh
main dekhne mein dost parindon ki tarah hun
ab mujh se gale milte hain ashjar kam-o-besh
ab subh se 'mannan' nahin milna milana
ab der se hota hun main bedar kam-o-besh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.