inqilabaat-e-musalsal ka asar dekha hai
inqilabaat-e-musalsal ka asar dekha hai
Rahbar Tabani Dariyabadi
MORE BYRahbar Tabani Dariyabadi
inqilābāt-e-musalsal kā asar dekhā hai
maiñ ne aiboñ meñ hunar ḳhair meñ shar dekhā hai
gardish-e-vaqt ne jab se mirā ghar dekhā hai
ziist ko vaqf-e-ġham-e-shām-o-sahar dekhā hai
ḳhūn-e-dil ḳhūn-e-vafā ḳhūn-e-jigar dekhā hai
ye tamāshā ba-sar-e-rāh-guzar dekhā hai
aaj phir TūTne vaalī hai qayāmat shāyad
aaj phir us ne ba-andāz-e-digar dekhā hai
jis ko duniyā ne biThāyā thā kabhī palkoñ par
aaj usī shaḳhs ko pāmāl-e-nazar dekhā hai
ma.anī-e-harf-e-zavāl us ko bhalā kyā ma.alūm
jis ne sūraj ko faqat vaqt-e-sahar dekhā hai
phir bhī āsūda na ho pā.īñ nigāheñ 'rahbar'
maiñ ne har-chand use tā-hadd-e-nazar dekhā hai
inqilabaat-e-musalsal ka asar dekha hai
main ne aibon mein hunar KHair mein shar dekha hai
gardish-e-waqt ne jab se mera ghar dekha hai
zist ko waqf-e-gham-e-sham-o-sahar dekha hai
KHun-e-dil KHun-e-wafa KHun-e-jigar dekha hai
ye tamasha ba-sar-e-rah-guzar dekha hai
aaj phir TuTne wali hai qayamat shayad
aaj phir us ne ba-andaz-e-digar dekha hai
jis ko duniya ne biThaya tha kabhi palkon par
aaj usi shaKHs ko pamal-e-nazar dekha hai
mani-e-harf-e-zawal us ko bhala kya malum
jis ne suraj ko faqat waqt-e-sahar dekha hai
phir bhi aasuda na ho pain nigahen 'rahbar'
main ne har-chand use ta-hadd-e-nazar dekha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.