insaf ki gardan par KHanjar KHud chalte dekha kya kahiye
insaf ki gardan par KHanjar KHud chalte dekha kya kahiye
Abul Fitrat Meer Zaidi
MORE BYAbul Fitrat Meer Zaidi
insāf kī gardan par ḳhanjar ḳhud chalte dekhā kyā kahiye
ahbāb-parastī ke chakkar meñ paḌ ga.ī duniyā kyā kahiye
phir zikr-e-sadāqat chheḌ ke apnī jaan kā dushman kaun bane
duniyā kī nigāhoñ ne dekhā duniyā kā tamāshā kyā kahiye
vo dekh havas ke dosh pe shāyad 'ishq kī mayyat jaatī hai
ab is duniyā meñ kyā hogā ahl-e-vafā kā kyā kahiye
jo aaj sunahrī pardoñ meñ chehroñ ko chhupā.e baiThe haiñ
taqdīr ke māroñ se un kā kal vā'da kyā thā kyā kahiye
jis bastī meñ insānoñ kā dil ġham ke hāthoñ chhalnī ho
us bastī meñ basne vāloñ ke dil kī tamanna kyā kahiye
kuchh log yahāñ haiñ aise bhī kal sab kuchh the ab kuchh bhī nahīñ
baaqī hai faqat tanhā.ī meñ ashkoñ kā sahārā kyā kahiye
ġhairoñ ke sitam se bach nikle apnoñ ke karam se bach na sake
aise meñ agar majbūr kare ġhairat kā taqāzā kyā kahiye
kahte haiñ guzashta daur ko phir tārīḳh jahāñ dohrātī hai
kis dhun meñ gaatā phirtā hai taqdīr kā dhārā kyā kahiye
duniyā meñ jī se jā.egā kaun amn-e-‘ālam kī ḳhātir
ye vaqt batā.egā baiThe kis karvaT duniyā kyā kahiye
har ek mujāhid se lākhoñ ummīdeñ haiñ mazlūmoñ ko
is TuuTī naav kā kaun bane kis vaqt sahārā kyā kahiye
insaf ki gardan par KHanjar KHud chalte dekha kya kahiye
ahbab-parasti ke chakkar mein paD gai duniya kya kahiye
phir zikr-e-sadaqat chheD ke apni jaan ka dushman kaun bane
duniya ki nigahon ne dekha duniya ka tamasha kya kahiye
wo dekh hawas ke dosh pe shayad 'ishq ki mayyat jati hai
ab is duniya mein kya hoga ahl-e-wafa ka kya kahiye
jo aaj sunahri pardon mein chehron ko chhupae baiThe hain
taqdir ke maron se un ka kal wa'da kya tha kya kahiye
jis basti mein insanon ka dil gham ke hathon chhalni ho
us basti mein basne walon ke dil ki tamanna kya kahiye
kuchh log yahan hain aise bhi kal sab kuchh the ab kuchh bhi nahin
baqi hai faqat tanhai mein ashkon ka sahaara kya kahiye
ghairon ke sitam se bach nikle apnon ke karam se bach na sake
aise mein agar majbur kare ghairat ka taqaza kya kahiye
kahte hain guzashta daur ko phir tariKH jahan dohraati hai
kis dhun mein gata phirta hai taqdir ka dhaara kya kahiye
duniya mein ji se jaega kaun amn-e-‘alam ki KHatir
ye waqt bataega baiThe kis karwaT duniya kya kahiye
har ek mujahid se lakhon ummiden hain mazlumon ko
is TuTi naw ka kaun bane kis waqt sahaara kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.