insan hon to qaum ke gham-KHwar bhi rahen
insān hoñ to qaum ke ġham-ḳhvār bhī raheñ
zinda tamām logoñ ke kirdār bhī raheñ
sehat agar hai Thiik to bachche na ā.eñge
maañ baap ko ye chāhiye bīmār bhī raheñ
sab kī qalam se maañg hai le aa.e inqalāb
ab raushnā.ī meñ tirī añgār bhī raheñ
dariyā meñ jo bhī Duube ubarne na paa.e vo
lahroñ ke saath saath hī mañjdhār bhī raheñ
jin ko vatan se pyaar hai un se base ye mulk
kuchh log kah rahe haiñ ki ġhaddār bhī raheñ
hālāñki hādsoñ pe ikaTThā to hogī bhiiḌ
mumkin kahāñ hai in meñ madad-gār bhī raheñ
'sarītā' galī galī meñ to bāzār saj ga.e
sarkār chāhtī hai ḳharīdār bhī raheñ
insan hon to qaum ke gham-KHwar bhi rahen
zinda tamam logon ke kirdar bhi rahen
sehat agar hai Thik to bachche na aaenge
man bap ko ye chahiye bimar bhi rahen
sab ki qalam se mang hai le aae inqalab
ab raushnai mein teri angar bhi rahen
dariya mein jo bhi Dube ubarne na pae wo
lahron ke sath sath hi manjdhaar bhi rahen
jin ko watan se pyar hai un se base ye mulk
kuchh log kah rahe hain ki ghaddar bhi rahen
haalanki hadson pe ikaTTha to hogi bhiD
mumkin kahan hai in mein madad-gar bhi rahen
'sarita' gali gali mein to bazar saj gae
sarkar chahti hai KHaridar bhi rahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.