insan hun main bhi mujhse ye kab puchhte hain log
insāñ huuñ maiñ bhī mujh se ye kab pūchhte haiñ log
jab pūchhte haiñ nām-o-nasab pūchhte haiñ log
merī tabāhiyoñ meñ barābar ke haiñ sharīk
phir kyoñ tabāhiyoñ kā sabab pūchhte haiñ log
kaise maiñ bach ke aa gayā ye pūchhte nahīñ
kashtī ke Dūbne kā sabab pūchhte haiñ log
munkir nakīr ban ke khaḌe haiñ har ek samt
banda hai kis kā kaun hai rab pūchhte haiñ log
vaj.h-e-fasād kaun thā kis ko sazā milī
kyoñ jal ga.e makān ye ab pūchhte haiñ log
tanhā khaḌā huuñ shahr ke bāzār meñ 'razā'
kis haal meñ huuñ kaun huuñ kab pūchhte haiñ log
insan hun main bhi mujh se ye kab puchhte hain log
jab puchhte hain nam-o-nasab puchhte hain log
meri tabahiyon mein barabar ke hain sharik
phir kyon tabahiyon ka sabab puchhte hain log
kaise main bach ke aa gaya ye puchhte nahin
kashti ke Dubne ka sabab puchhte hain log
munkir nakir ban ke khaDe hain har ek samt
banda hai kis ka kaun hai rab puchhte hain log
wajh-e-fasad kaun tha kis ko saza mili
kyon jal gae makan ye ab puchhte hain log
tanha khaDa hun shahr ke bazar mein 'raza'
kis haal mein hun kaun hun kab puchhte hain log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.