insan isi tarah se hain sahib ajib hain
insān isī tarah se haiñ sāhib ajiib haiñ
itnā na ġhaur kījiye ham sab ajiib haiñ
uljhā diyā hai kaisā dil-o-be-dilī ke biich
ai rozgār-e-ishq ye kartab ajiib haiñ
maiñ kaun huuñ tū kaun hai ye log kaun haiñ
kis ne kiye ye darje murattab ajiib haiñ
kahtā hai dil ki ek zarā chuum dekhiye
dilkash to ḳhair hote haiñ vo lab ajiib haiñ
ham se na satr-e-hast pe kuchh guftugū karo
apnī samajh meñ aa.e jo matlab ajiib haiñ
sab Thiik the hameñ hī shikāyat abas rahī
'haidar' ham aise log khulā ab ajiib haiñ
insan isi tarah se hain sahib ajib hain
itna na ghaur kijiye hum sab ajib hain
uljha diya hai kaisa dil-o-be-dili ke bich
ai rozgar-e-ishq ye kartab ajib hain
main kaun hun tu kaun hai ye log kaun hain
kis ne kiye ye darje murattab ajib hain
kahta hai dil ki ek zara chum dekhiye
dilkash to KHair hote hain wo lab ajib hain
hum se na satr-e-hast pe kuchh guftugu karo
apni samajh mein aae jo matlab ajib hain
sab Thik the hamein hi shikayat abas rahi
'haidar' hum aise log khula ab ajib hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.