insan ki kaamyabiyan kitni hain muKHtasar
insāñ kī kāmyābiyāñ kitnī haiñ muḳhtasar
do gaz zamīn ke liye sau saal kā safar
mujh ko akelā chhoḌ ke pardes jā base
jin ko sunā.ī loriyāñ godī meñ rakh ke sar
raste ko DhūñDhne meñ na taklīf ho tujhe
dahlīz par diyā mirī jaltā hai raat bhar
ā.īna be-qarār hai dīdār ke liye
apnī hī shakl se mujhe lagne lagā hai Dar
vo shaḳhs 'aql-mand hai jis ko pata hai ye
kaise burī ḳhabar se bhī rahnā hai be-ḳhabar
insan ki kaamyabiyan kitni hain muKHtasar
do gaz zamin ke liye sau sal ka safar
mujh ko akela chhoD ke pardes ja base
jin ko sunai loriyan godi mein rakh ke sar
raste ko DhunDhne mein na taklif ho tujhe
dahliz par diya meri jalta hai raat bhar
aaina be-qarar hai didar ke liye
apni hi shakl se mujhe lagne laga hai Dar
wo shaKHs 'aql-mand hai jis ko pata hai ye
kaise buri KHabar se bhi rahna hai be-KHabar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.