insan ko apni zat ka idrak hi nahin
insāñ ko apnī zaat kā idrāk hī nahīñ
ab koī vārdāt alamnāk hī nahīñ
mazlūm ke lahū kā na ho jis pe koī daaġh
aisī sipāh-e-vaqt kī poshāk hī nahīñ
is daur meñ hifāzat-e-īmāñ ke vāste
haidar kī misl teġh-e-ġhazabnāk hī nahīñ
ā'māl haiñ siyāh hamāre magar hameñ
shikva hai mehrbānī-e-aflāk hī nahīñ
rahmat ḳhudā kī josh meñ aa.e to kaise aa.e
sailāb-e-ashk-dīda-e-nam-nāk hī nahīñ
pahle buland kartā thā 'anvar' sadā-e-haq
lekin ab is meñ jur.at-e-be-bāk hī nahīñ
insan ko apni zat ka idrak hi nahin
ab koi wardat alamnak hi nahin
mazlum ke lahu ka na ho jis pe koi dagh
aisi sipah-e-waqt ki poshak hi nahin
is daur mein hifazat-e-iman ke waste
haidar ki misl tegh-e-ghazabnak hi nahin
aa'mal hain siyah hamare magar hamein
shikwa hai mehrbani-e-aflak hi nahin
rahmat KHuda ki josh mein aae to kaise aae
sailab-e-ashk-dida-e-nam-nak hi nahin
pahle buland karta tha 'anwar' sada-e-haq
lekin ab is mein jurat-e-be-bak hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.