insan tere pas to ilm-ul-hayat hai
insān tere paas to 'ilm-ul-hayāt hai
phir kyoñ fareb-o-makr hasad jāt-pāt hai
mashriq kī kāmyābiyāñ bhūle nahīñ haiñ ham
ye aur baat hai ki ye maazī kī baat hai
duniyā meñ aisā kaun hai jo roktā mujhe
mujh ko jo roktī hai vo merī hī zaat hai
hāthoñ meñ dūsroñ ke rahī apnī zindagī
ham kis tarah kaheñ ye hamārī hayāt hai
muusā se marx tak ye bashar ek sā rahā
kutte kī dum ke jaisī ye aadam kī zaat hai
gahrā.ī meñ jo utrā kabhī jaan jā.egā
'rāhib' tirī hayāt hī tirī najāt hai
insan tere pas to 'ilm-ul-hayat hai
phir kyon fareb-o-makr hasad jat-pat hai
mashriq ki kaamyabiyan bhule nahin hain hum
ye aur baat hai ki ye mazi ki baat hai
duniya mein aisa kaun hai jo rokta mujhe
mujh ko jo rokti hai wo meri hi zat hai
hathon mein dusron ke rahi apni zindagi
hum kis tarah kahen ye hamari hayat hai
musa se marx tak ye bashar ek sa raha
kutte ki dum ke jaisi ye aadam ki zat hai
gahrai mein jo utra kabhi jaan jaega
'rahib' teri hayat hi teri najat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.