insaniyat ka aaj ‘alam-dar kaun hai
insāniyat kā aaj ‘alam-dār kaun hai
ye baar ab uThāne ko tayyār kaun hai
baazī lagā ke jaan kī terī galī meñ ham
dekheñge 'āshiqī kā taraf-dār kaun hai
taqdīr le ke aa ga.ī bāzār meñ hameñ
ab dekhnā hai apnā talabgār kaun hai
chāroñ taraf hai aaj ye 'uryāniyat kā jaal
fitne se is ke yaar ḳhabar-dār kaun hai
sattār hai vo Dhāñptā hai sab gunah mire
varna 'asar' ke jaisā gunah-gār kaun hai
insaniyat ka aaj ‘alam-dar kaun hai
ye bar ab uThane ko tayyar kaun hai
bazi laga ke jaan ki teri gali mein hum
dekhenge 'ashiqi ka taraf-dar kaun hai
taqdir le ke aa gai bazar mein hamein
ab dekhna hai apna talabgar kaun hai
chaaron taraf hai aaj ye 'uryaniyat ka jal
fitne se is ke yar KHabar-dar kaun hai
sattar hai wo Dhanpta hai sab gunah mere
warna 'asar' ke jaisa gunah-gar kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.