insaniyat ke zom ne barbaad kar diya
insāniyat ke zo'm ne barbād kar diyā
piñjre meñ aa ke sher ko āzād kar diyā
apne hī sūne-pan kā mudāvā na kar sake
kahne ko ham ne shahr ko ābād kar diyā
jī bhar ke qatl-e-'ām kiyā pahle har taraf
phir us ne mamlikat ko ḳhudā-dād kar diyā
dil se koī 'ilāqa na thā duur duur tak
tesha thamā ke haath meñ farhād kar diyā
har muttaqī ko is se sabaq lenā chāhiye
jannat kī chaah ne jise shaddād kar diyā
hāthoñ meñ us kā haath liye sochte rahe
thā kaun jis ne 'ishq meñ barbād kar diyā
insaniyat ke zo'm ne barbaad kar diya
pinjre mein aa ke sher ko aazad kar diya
apne hi sune-pan ka mudawa na kar sake
kahne ko hum ne shahr ko aabaad kar diya
ji bhar ke qatl-e-'am kiya pahle har taraf
phir us ne mamlikat ko KHuda-dad kar diya
dil se koi 'ilaqa na tha dur dur tak
tesha thama ke hath mein farhad kar diya
har muttaqi ko is se sabaq lena chahiye
jannat ki chah ne jise shaddad kar diya
hathon mein us ka hath liye sochte rahe
tha kaun jis ne 'ishq mein barbaad kar diya
- Book : Aakhiri Ishq Sabse Pahle Kiya (Pg. 46)
- Author : Nomaan Shauq
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.