insanon ka chup kar jaana Thik nahin
insānoñ kā chup kar jaanā Thiik nahīñ
tahrīroñ kā shor machānā Thiik nahīñ
terā ye mohtāt ravayya kahtā hai
tū ne mujh ko kuchh pahchānā Thiik nahīñ
ye zālim kab tere aañsū pochh.enge
tasvīroñ se dil bahlānā Thiik nahīñ
raste meñ kuchh dost numā se dushman haiñ
us ghar terā aanā jaanā Thiik nahīñ
bādal phir barsāt se tauba kar leñge
paanī meñ yuuñ aag lagānā Thiik nahīñ
jin bātoñ ne pahle baat bigāḌī thī
un bātoñ kā phir dohrānā Thiik nahīñ
us ne merā naam likhā hai baazū par
har ik ko ye baat batānā Thiik nahīñ
mausam kaliyāñ phuul nazāre taak meñ haiñ
terā ghar se bāhar jaanā Thiik nahīñ
jab tak merī saañs salāmat saath to do
zinda shaḳhs ko yuuñ kafnānā Thiik nahīñ
kyoñ tujh ko ye baat samajh nā aatī hai
ishq mohabbat pyaar kahā nā Thiik nahīñ
kitnā tujh ko samjhāyā thā pyaar na kar
tanhā ho kar ab pachhtānā Thiik nahīñ
us kā naam kahīñ bhī sun kar logoñ se
terī āñkhoñ kā bhar aanā Thiik nahīñ
log na jaane kyā kyā bāteñ socheñge
baiThe baiThe gum ho jaanā Thiik nahīñ
aise to sab log kināra kar leñge
terā itnā ġhussa khānā Thiik nahīñ
'dānish' chiḌiyāñ kaise aakar baiTheñgī
dīvāroñ par kāñch lagānā Thiik nahīñ
insanon ka chup kar jaana Thik nahin
tahriron ka shor machana Thik nahin
tera ye mohtat rawayya kahta hai
tu ne mujh ko kuchh pahchana Thik nahin
ye zalim kab tere aansu pochhenge
taswiron se dil bahlana Thik nahin
raste mein kuchh dost numa se dushman hain
us ghar tera aana jaana Thik nahin
baadal phir barsat se tauba kar lenge
pani mein yun aag lagana Thik nahin
jin baaton ne pahle baat bigaDi thi
un baaton ka phir dohrana Thik nahin
us ne mera nam likha hai bazu par
har ek ko ye baat batana Thik nahin
mausam kaliyan phul nazare tak mein hain
tera ghar se bahar jaana Thik nahin
jab tak meri sans salamat sath to do
zinda shaKHs ko yun kafnana Thik nahin
kyon tujh ko ye baat samajh na aati hai
ishq mohabbat pyar kaha na Thik nahin
kitna tujh ko samjhaya tha pyar na kar
tanha ho kar ab pachhtana Thik nahin
us ka nam kahin bhi sun kar logon se
teri aankhon ka bhar aana Thik nahin
log na jaane kya kya baaten sochenge
baiThe baiThe gum ho jaana Thik nahin
aise to sab log kinara kar lenge
tera itna ghussa khana Thik nahin
'danish' chiDiyan kaise aakar baiThengi
diwaron par kanch lagana Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.