intihai bhiD mein ek ibtida hai aaKHiri
intihā.ī bhiiḌ meñ ik ibtidā hai āḳhirī
phir na hogā baad meñ ye sāneha hai āḳhirī
apnā apnā chehra le kar aa ga.e haiñ sab ke sab
vaqt ke hāthoñ meñ jabki aa.ina hai āḳhirī
dekhiye bantā hai kaun us kī malāmat kā hadaf
tiir us zālim ke tarkash meñ bachā hai āḳhirī
ek muTThī āsmāñ bas ek muTThī āsmāñ
us parinde kī yahī bas iltijā hai āḳhirī
āḳhirī baar aao āñkheñ bhar leñ 'rahmānī' se ham
phir kahāñ ki raushnī kā silsila hai āḳhirī
intihai bhiD mein ek ibtida hai aaKHiri
phir na hoga baad mein ye saneha hai aaKHiri
apna apna chehra le kar aa gae hain sab ke sab
waqt ke hathon mein jabki aaina hai aaKHiri
dekhiye banta hai kaun us ki malamat ka hadaf
tir us zalim ke tarkash mein bacha hai aaKHiri
ek muTThi aasman bas ek muTThi aasman
us parinde ki yahi bas iltija hai aaKHiri
aaKHiri bar aao aankhen bhar len 'rahmani' se hum
phir kahan ki raushni ka silsila hai aaKHiri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.