Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

intizar-e-mudam baqi hai

Ravish Siddiqi

intizar-e-mudam baqi hai

Ravish Siddiqi

MORE BYRavish Siddiqi

    intizār-e-mudām baaqī hai

    sub.h baaqī hai shaam baaqī hai

    pūchhnā ham se haa.e saaqī

    kyā koī tishna-kām baaqī hai

    ab mohabbat kahāñ zamāne meñ

    haañ mohabbat naam baaqī hai

    ye pas-o-pesh nahīñ hangām

    mai-kada chand gaam baaqī hai

    havas-e-nang-o-nām ḳhvāb huī

    dil-e-be-nang-o-nām baaqī hai

    saḳht hairāñ hai gardish-e-ayyām

    aaj bhī daur-e-jām baaqī hai

    ham-kalāmī ke bāvajūd 'ravish'

    ehtiyāt-e-kalām baaqī hai

    intizar-e-mudam baqi hai

    subh baqi hai sham baqi hai

    puchhna hum se hae saqi ka

    kya koi tishna-kaam baqi hai

    ab mohabbat kahan zamane mein

    han mohabbat ka nam baqi hai

    ye pas-o-pesh ka nahin hangam

    mai-kada chand gam baqi hai

    hawas-e-nang-o-nam KHwab hui

    dil-e-be-nang-o-nam baqi hai

    saKHt hairan hai gardish-e-ayyam

    aaj bhi daur-e-jam baqi hai

    ham-kalami ke bawajud 'rawish'

    ehtiyat-e-kalam baqi hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now