iqbaal ka sani hain na ghaalib ka badal hain
'iqbāl' kā saanī haiñ na 'ġhālib' kā badal haiñ
bas ham bhī numā.inda-e-tahzīb-e-ġhazal haiñ
ye soch ke hañste hue jiite haiñ jahāñ meñ
duniyā ke masā.il hī hamāre liye hal haiñ
jab ḳhud se mulāqāt karūñ ḳhud se karūñ baat
allāh mire vāste vo kaun se pal haiñ
patthar bhī na māroge to gir jā.eñge saḌ kar
itrā.e hue apnī bulandī pe jo phal haiñ
paa.ī ye sazā kaaTe ga.e haath hamāre
ye jurm ki ham naqsh-gar-e-tāj-mahal haiñ
hālāt kī āñdhī na miTā pā.egī 'merāj'
patthar kī lakīroñ kī tarah ham bhī aTal haiñ
'iqbaal' ka sani hain na 'ghaalib' ka badal hain
bas hum bhi numainda-e-tahzib-e-ghazal hain
ye soch ke hanste hue jite hain jahan mein
duniya ke masail hi hamare liye hal hain
jab KHud se mulaqat karun KHud se karun baat
allah mere waste wo kaun se pal hain
patthar bhi na maroge to gir jaenge saD kar
itrae hue apni bulandi pe jo phal hain
pai ye saza kaTe gae hath hamare
ye jurm ki hum naqsh-gar-e-taj-mahal hain
haalat ki aandhi na miTa paegi 'meraj'
patthar ki lakiron ki tarah hum bhi aTal hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.