irada chhoD de ab rasta badalne ka
irāda chhoḌ de ab rāsta badalne kā
yahī hai vaqt mire saath saath chalne kā
na jaane kitne hī maġhrūr ho ga.e ġharqāb
tamāsha dekh liyā pāniyoñ pe chalne kā
use ye dukh na giraftār kar sakā mujh ko
mujhe bhī ranj huā daam se nikalne kā
thī dhuup tez hī itnī ki jal gayā 'paikar'
tamāsha dekhnā thā barf ke pighalne kā
irada chhoD de ab rasta badalne ka
yahi hai waqt mere sath sath chalne ka
na jaane kitne hi maghrur ho gae gharqab
tamasha dekh liya paniyon pe chalne ka
use ye dukh na giraftar kar saka mujh ko
mujhe bhi ranj hua dam se nikalne ka
thi dhup tez hi itni ki jal gaya 'paikar'
tamasha dekhna tha barf ke pighalne ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.