irada puKHta safar ka jo kar liya ab ke
irāda puḳhta safar kā jo kar liyā ab ke
na koī ḳhatra kisī se na Dar lagā ab ke
darīcha hī nahīñ rauzan na dar khulā ab ke
nazar bachā ke vo phir se guzar gayā ab ke
guzar ke tauba se aayā to ḳhalq bol uThī
qubūl hotī huī dekh har du'ā ab ke
yahī nahīñ ki vahī ran meñ kāmyāb rahā
har ek mā'raka maiñ ne bhī sar kiyā ab ke
tamām raat havāoñ ko kuchh ḳhabar na huī
tamām raat diyā baam par jalā ab ke
koī to hai jise ummīd kī kiran maiñ kahūñ
koī to hai jo sar-e-rahguzar milā ab ke
irada puKHta safar ka jo kar liya ab ke
na koi KHatra kisi se na Dar laga ab ke
daricha hi nahin rauzan na dar khula ab ke
nazar bacha ke wo phir se guzar gaya ab ke
guzar ke tauba se aaya to KHalq bol uThi
qubul hoti hui dekh har du'a ab ke
yahi nahin ki wahi ran mein kaamyab raha
har ek ma'raka main ne bhi sar kiya ab ke
tamam raat hawaon ko kuchh KHabar na hui
tamam raat diya baam par jala ab ke
koi to hai jise ummid ki kiran main kahun
koi to hai jo sar-e-rahguzar mila ab ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.