iradon ka badan koi bhi painda nahin rakhta
irādoñ kā badan koī bhī pā.inda nahīñ rakhtā
mirā ism-e-mukabbir hī mujhe zinda nahīñ rakhtā
ab us kī hākimiyyat chand pahroñ tak simaT aa.ī
vo aise haal meñ bhī fikr-e-ā.inda nahīñ rakhtā
chalā aatā huuñ maiñ ilzām se pahle kaTahre meñ
adālat meñ anā kī ḳhud ko sharminda nahīñ rakhtā
sabhī lahjoñ ne dars-e-āfiyat to yaad rakkhā hai
musāvī soch lekin koī bāshinda nahīñ rakhtā
maiñ aise sar-phire logoñ meñ bastā huuñ jahāñ 'aḳhtar'
qabīla ḳhatm ho jaa.e numā.inda nahīñ rakhtā
iradon ka badan koi bhi painda nahin rakhta
mera ism-e-mukabbir hi mujhe zinda nahin rakhta
ab us ki hakimiyyat chand pahron tak simaT aai
wo aise haal mein bhi fikr-e-ainda nahin rakhta
chala aata hun main ilzam se pahle kaTahre mein
adalat mein ana ki KHud ko sharminda nahin rakhta
sabhi lahjon ne dars-e-afiyat to yaad rakkha hai
musawi soch lekin koi bashinda nahin rakhta
main aise sar-phire logon mein basta hun jahan 'aKHtar'
qabila KHatm ho jae numainda nahin rakhta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.