ird-gird sab rang sarasar aur hi kuchh the
ird-gird sab rang sarāsar aur hī kuchh the
aañkh khulī to saare manzar aur hī kuchh the
tujh se mil kar aur na koī dhyān meñ aaya
tujh se pahle soch ke mehvar aur hī kuchh the
rafta rafta har ik ghaav bhar jaatā hai
pahle-pahal ham tujh se bichhaḌ kar aur hī kuchh the
tārīkī sannāTā tanhā.ī aur yādeñ
raat ko ye aalam thā din-bhar aur hī kuchh the
siine meñ thā dard magar hoñToñ pe tabassum
bāhar ham kuchh aur the andar aur hī kuchh the
ab to saarā ghar suunā suunā lagtā hai
milan ghaḌī meñ dīvār-o-dar aur hī kuchh the
jhūTī niklīñ naqsh ḳhushī kī sab rekhā.eñ
pesh aa.e hālāt jo aksar aur hī kuchh the
ird-gird sab rang sarasar aur hi kuchh the
aankh khuli to sare manzar aur hi kuchh the
tujh se mil kar aur na koi dhyan mein aaya
tujh se pahle soch ke mehwar aur hi kuchh the
rafta rafta har ek ghaw bhar jata hai
pahle-pahal hum tujh se bichhaD kar aur hi kuchh the
tariki sannaTa tanhai aur yaaden
raat ko ye aalam tha din-bhar aur hi kuchh the
sine mein tha dard magar honTon pe tabassum
bahar hum kuchh aur the andar aur hi kuchh the
ab to sara ghar suna suna lagta hai
milan ghaDi mein diwar-o-dar aur hi kuchh the
jhuTi niklin naqsh KHushi ki sab rekhaen
pesh aae haalat jo aksar aur hi kuchh the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.