irtibaat-e-bahami shaiKH-o-barahman mein nahin
Interesting Fact
Mushaira Ghalib Day, Mahmood Manzill Allahabad- 15 February 1969
irtibāt-e-bāhamī shaiḳh-o-barahman meñ nahīñ
jo maza hai mil ke rahne meñ vo an-ban meñ nahīñ
nāla-sanjī-e-anādil se ye chaltā hai pata
naam ko bū-e-vafā arbāb-e-gulshan meñ nahīñ
dair-o-ka.aba kī parastish phir bhalā kis kaam kī
jab ḳhulūs-e-bandagī shaiḳh-o-barahman meñ nahīñ
phir khaTakte haiñ nigāh-e-bāġhbāñ meñ kis liye
ḳhair se ab chaar tinke bhī nasheman meñ nahīñ
umr bhar mujh ko jalā ke sham-o-gul kyuuñ laa.e ab
dāġh-e-dil kī raushnī kyā mere madfan meñ nahīñ
phir taḌap kar baar baar aatī hai bijlī kis liye
ek tinkā bhī to ab mere nasheman meñ nahīñ
apne dil kī aap ne pahnā.iyāñ dekhīñ kahāñ
aisī vus.at to qayāmat ke bhī dāman meñ nahīñ
haath siine par na rakkho ho chukā qissa tamām
ab koī āvāz mere dil kī dhaḌkan meñ nahīñ
haiñ sabaq-āmoz aurāq-e-kitāb-e-gul magar
juz fareb-e-rañg-o-bū kuchh un ke dāman meñ nahīñ
dekh kar vo zaḳhm-e-dil kī kartī kyā baḳhiya-garī
nuur kā Dorā savād-e-chashm-e-sozan meñ nahīñ
is qadar piisā zamāne ne mujhe 'sho.ala' ki ab
ek daana bhī mirī qismat kā ḳhirman meñ nahīñ
irtibaat-e-bahami shaiKH-o-barahman mein nahin
jo maza hai mil ke rahne mein wo an-ban mein nahin
nala-sanji-e-anadil se ye chalta hai pata
nam ko bu-e-wafa arbab-e-gulshan mein nahin
dair-o-kaba ki parastish phir bhala kis kaam ki
jab KHulus-e-bandagi shaiKH-o-barahman mein nahin
phir khaTakte hain nigah-e-baghban mein kis liye
KHair se ab chaar tinke bhi nasheman mein nahin
umr bhar mujh ko jala ke sham-o-gul kyun lae ab
dagh-e-dil ki raushni kya mere madfan mein nahin
phir taDap kar bar bar aati hai bijli kis liye
ek tinka bhi to ab mere nasheman mein nahin
apne dil ki aap ne pahnaiyan dekhin kahan
aisi wusat to qayamat ke bhi daman mein nahin
hath sine par na rakkho ho chuka qissa tamam
ab koi aawaz mere dil ki dhaDkan mein nahin
hain sabaq-amoz auraq-e-kitab-e-gul magar
juz fareb-e-rang-o-bu kuchh un ke daman mein nahin
dekh kar wo zaKHm-e-dil ki karti kya baKHiya-gari
nur ka Dora sawad-e-chashm-e-sozan mein nahin
is qadar pisa zamane ne mujhe 'shoala' ki ab
ek dana bhi meri qismat ka KHirman mein nahin
- Book : Naghmah-e-Fikr (Pg. 90)
- Author : Shola Saiyed Momin Husain Taqvi Kararivi
- Publication : Shabistan 218 Shahah ganj Allahabad (1968)
- Edition : 1968
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.