is aas par ki udasi kisi Thikane lage
is aas par ki udāsī kisī Thikāne lage
globe rakh liyā Table pe aur ghumāne lage
'ajīb dukh hai tire haath piile hone se
hamāre ḳhvāb meñ kaale gulāb aane lage
kahīñ se abr na aayā to ehtijāj meñ ham
barahna ho ga.e aur dhuup meñ nahāne lage
galī meñ ek taraf boriyā bichhā liyā thā
hamāre haath nahīñ the magar kamāne lage
hameñ ḳhazāna nahīñ chhāñv chāhiye thī so ham
tirī girī huī dīvār ko uThāne lage
ye ham se ho gayā thā ham ne ḳhud kiyā nahīñ thā
kisī ne phuul diyā ham use chabāne lage
vo sair-gāh meñ bas sarsarī dikhā.ī diyā
ḳhayāl-gāh meñ kuchh she'r sarsarāne lage
mujhe bulāyā gayā pul-sirāt se guzro
farishte hañsne lage sīTiyāñ bajāne lage
is aas par ki udasi kisi Thikane lage
globe rakh liya Table pe aur ghumane lage
'ajib dukh hai tere hath pile hone se
hamare KHwab mein kale gulab aane lage
kahin se abr na aaya to ehtijaj mein hum
barahna ho gae aur dhup mein nahane lage
gali mein ek taraf boriya bichha liya tha
hamare hath nahin the magar kamane lage
hamein KHazana nahin chhanw chahiye thi so hum
teri giri hui diwar ko uThane lage
ye hum se ho gaya tha hum ne KHud kiya nahin tha
kisi ne phul diya hum use chabane lage
wo sair-gah mein bas sarsari dikhai diya
KHayal-gah mein kuchh she'r sarsarane lage
mujhe bulaya gaya pul-siraat se guzro
farishte hansne lage siTiyan bajaane lage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.