is aatish-e-KHamosh ko shoala bana na de
is ātish-e-ḳhamosh ko sho.ala banā na de
chiñgāriyoñ ke Dher ko koī havā na de
mushkil se kuchh huā hai mayassar mujhe sukūñ
maazī kā koī dard mujhe phir jagā na de
ghar phūñkne se pahle mirā tū ye soch le
sho.ala kahīñ ye tere bhī ghar ko jalā na de
tūfāñ nafas nafas hai qayāmat qadam qadam
jab zindagī yahī hai to is kī duā na de
ik sham-e-ārzū hai hamārī anīs-e-ġham
hai ḳhauf tund jhoñkā ise bhī bujhā na de
kuchh bhī kashish na baaqī rahegī hayāt meñ
dil meñ ḳhayāl-e-tark-e-mohabbat ḳhudā na de
ham jis ke rāste meñ bichhāte haiñ aaj phuul
vo kal hamārī raah meñ kāñTe bichhā na de
'ma.asūm' nafratoñ kā ye phailā huā ġhubār
Dar hai ki merā naqsh-e-mohabbat miTā na de
is aatish-e-KHamosh ko shoala bana na de
chingariyon ke Dher ko koi hawa na de
mushkil se kuchh hua hai mayassar mujhe sukun
mazi ka koi dard mujhe phir jaga na de
ghar phunkne se pahle mera tu ye soch le
shoala kahin ye tere bhi ghar ko jala na de
tufan nafas nafas hai qayamat qadam qadam
jab zindagi yahi hai to is ki dua na de
ek sham-e-arzu hai hamari anis-e-gham
hai KHauf tund jhonka ise bhi bujha na de
kuchh bhi kashish na baqi rahegi hayat mein
dil mein KHayal-e-tark-e-mohabbat KHuda na de
hum jis ke raste mein bichhate hain aaj phul
wo kal hamari rah mein kanTe bichha na de
'masum' nafraton ka ye phaila hua ghubar
Dar hai ki mera naqsh-e-mohabbat miTa na de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.