is ada se hath apne mal rahi hai zindagi
is adā se haath apne mal rahī hai zindagī
ḳhauf kī parchhā.iyoñ meñ pal rahī hai zindagī
ghar ke āñgan meñ khiñchī dīvār ye kahtī rahī
bhiiḌ meñ rishtoñ kī tanhā chal rahī hai zindagī
aa.ina aisā dikhāyā hai 'adāvat ne hameñ
be-sabab buġhz-o-hasad meñ Dhal rahī hai zindagī
chashm-e-nam se āñsuoñ kā ek dariyā hai ravāñ
mahv-e-hairat huuñ ki phir bhī jal rahī hai zindagī
vaqt ne nazroñ ke aage kyā tamāsha rakh diyā
dekh kar jis ko sadā bekal rahī hai zindagī
soch kar bachpan hamesha dil meñ aatā hai ḳhayāl
aaj bhī vaisī ho jaisī kal rahī hai zindagī
zindagī ko lamha lamha jī rahī hai 'yāsmīñ'
aur us ko lamha lamha chhal rahī hai zindagī
is ada se hath apne mal rahi hai zindagi
KHauf ki parchhaiyon mein pal rahi hai zindagi
ghar ke aangan mein khinchi diwar ye kahti rahi
bhiD mein rishton ki tanha chal rahi hai zindagi
aaina aisa dikhaya hai 'adawat ne hamein
be-sabab bughz-o-hasad mein Dhal rahi hai zindagi
chashm-e-nam se aansuon ka ek dariya hai rawan
mahw-e-hairat hun ki phir bhi jal rahi hai zindagi
waqt ne nazron ke aage kya tamasha rakh diya
dekh kar jis ko sada bekal rahi hai zindagi
soch kar bachpan hamesha dil mein aata hai KHayal
aaj bhi waisi ho jaisi kal rahi hai zindagi
zindagi ko lamha lamha ji rahi hai 'yasmin'
aur us ko lamha lamha chhal rahi hai zindagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.