Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

is ahd-e-taraqqi ka andaz nirala hai

Musavvir Lakhnavi

is ahd-e-taraqqi ka andaz nirala hai

Musavvir Lakhnavi

MORE BYMusavvir Lakhnavi

    is ahd-e-taraqqī andāz nirālā hai

    bastī meñ añdherā hai sahrā meñ ujālā hai

    auroñ ko bhī lutf aa.e yuuñ raah meñ Daalā hai

    kāñTā jo abhī ham ne pairoñ se nikālā hai

    āsāñ hai masāfat bhī hai shaġhl-e-ibādat bhī

    har moḌ pe raste ke ab ek shivālā hai

    tum kuchh bhī karo tum par kuchh aañch na aa.egī

    inkār aala bhī kyā kaam aala hai

    ham laakh machā.eñ ġhul suntā nahīñ apnī

    tum bolo to khul jaa.e kyā ḳhuub ye taalā hai

    larzāñ haiñ qadam apne ab ham ko sañbhāle kaun

    ham ne to yahāñ kitne girtoñ ko sañbhālā hai

    lagtī hai usī din se mahfil tirī be-raunaq

    dīvāne ko jis din se mahfil se nikālā hai

    be-vaqt ye āñdhī be-vaqt ye bārish

    āsār batāte haiñ kuchh hone vaalā hai

    urdu ke liye va.ada bahlāve pe bahlāvā

    lagtā hai 'musavvir' ab kuchh daal meñ kaalā hai

    is ahd-e-taraqqi ka andaz nirala hai

    basti mein andhera hai sahra mein ujala hai

    auron ko bhi lutf aae yun rah mein Dala hai

    kanTa jo abhi hum ne pairon se nikala hai

    aasan hai masafat bhi hai shaghl-e-ibaadat bhi

    har moD pe raste ke ab ek shiwala hai

    tum kuchh bhi karo tum par kuchh aanch na aaegi

    inkar ka aala bhi kya kaam ka aala hai

    hum lakh machaen ghul sunta hi nahin apni

    tum bolo to khul jae kya KHub ye tala hai

    larzan hain qadam apne ab hum ko sanbhaale kaun

    hum ne to yahan kitne girton ko sanbhaala hai

    lagti hai usi din se mahfil teri be-raunaq

    diwane ko jis din se mahfil se nikala hai

    be-waqt ki ye aandhi be-waqt ki ye barish

    aasar batate hain kuchh hone hi wala hai

    urdu ke liye wada bahlawe pe bahlawa

    lagta hai 'musawwir' ab kuchh dal mein kala hai

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now