is ahd mein bhi gham ka taraf-dar to hoga
is 'ahd meñ bhī ġham kā taraf-dār to hogā
koī na koī aap kā ġham-ḳhvār to hogā
ujḌegā mirā ghar to bhī rone kā nahīñ maiñ
miTTī kā badan hai so ye mismār to hogā
yūñhī to nahīñ aatī sadā āh-o-fuġhāñ kī
bikhrā huā koī pas-e-dīvār to hogā
chhin bhī ga.ī bīnā.ī tumheñ dekh to kyā ġham
āñkhoñ ko mirī aap kā dīdār to hogā
ye soch lagāyā nahīñ pahlū meñ nayā peḌ
tanhā.ī kā maarā hai samar-bār to hogā
jo bhī ho qafas TuuTe yā phir ye mirā sar jaa.e
bharpūr dīvāroñ pe magar vaar to hogā
ye aur ki tū dekhe faqat mere junūñ ko
varna ye mirā dil hai gunahgār to hogā
darvesh yahī soch ke nikle haiñ gharoñ se
mansūr-sifat koī sar-e-dār to hogā
dete chale jaate haiñ sadā dasht-e-junūñ tak
ye soch kahīñ merā giraftār to hogā
'sādiq' tirā ik taur yahī she'r-o-suḳhan kā
har shaḳhs yahāñ aise meñ bezār to hogā
is 'ahd mein bhi gham ka taraf-dar to hoga
koi na koi aap ka gham-KHwar to hoga
ujDega mera ghar to bhi rone ka nahin main
miTTi ka badan hai so ye mismar to hoga
yunhi to nahin aati sada aah-o-fughan ki
bikhra hua koi pas-e-diwar to hoga
chhin bhi gai binai tumhein dekh to kya gham
aankhon ko meri aap ka didar to hoga
ye soch lagaya nahin pahlu mein naya peD
tanhai ka mara hai samar-bar to hoga
jo bhi ho qafas TuTe ya phir ye mera sar jae
bharpur diwaron pe magar war to hoga
ye aur ki tu dekhe faqat mere junun ko
warna ye mera dil hai gunahgar to hoga
darwesh yahi soch ke nikle hain gharon se
mansur-sifat koi sar-e-dar to hoga
dete chale jate hain sada dasht-e-junun tak
ye soch kahin mera giraftar to hoga
'sadiq' tera ek taur yahi she'r-o-suKHan ka
har shaKHs yahan aise mein bezar to hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.