is andhere mein kahan taza KHayal aaega
is añdhere meñ kahāñ taaza ḳhayāl aa.egā
chāñd niklegā to dariyā meñ uchhāl aa.egā
baiThiye aap ki mujh se nahīñ baiThā jaatā
is tavaqqo' pe ki paanī meñ ubaal aa.egā
jaate jaate hī zamāne kī ravish jā.egī
aate aate hī unheñ merā ḳhayāl aa.egā
is liye baiThā huuñ maiñ sat.h pe be-ḳhauf huzūr
mujh ko mā'lūm hai kis samt se jaal aa.egā
aah uTThegī to rah rah ke uThegī 'āmir'
kaam aisā hai ki kar kar ke kamāl aa.egā
is andhere mein kahan taza KHayal aaega
chand niklega to dariya mein uchhaal aaega
baiThiye aap ki mujh se nahin baiTha jata
is tawaqqo' pe ki pani mein ubaal aaega
jate jate hi zamane ki rawish jaegi
aate aate hi unhen mera KHayal aaega
is liye baiTha hun main sath pe be-KHauf huzur
mujh ko ma'lum hai kis samt se jal aaega
aah uTThegi to rah rah ke uThegi 'amir'
kaam aisa hai ki kar kar ke kamal aaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.