is apni kiran ko aati hui subhon ke hawale karna hai
is apnī kiran ko aatī huī sub.hoñ ke havāle karnā hai
kāñToñ se ulajh kar jiinā hai phūloñ se lipaT kar marnā hai
shāyad vo zamāna lauT aa.e shāyad vo palaT kar dekh bhī leñ
in ujḌī ujḌī nazroñ meñ phir koī fasāna bharnā hai
ye soz-e-darūñ ye ashk-e-ravāñ ye kāvish-e-hastī kyā kahiye
marte haiñ ki kuchh din jī leñ ham jiite haiñ ki āḳhir marnā hai
ik shahr-e-vafā ke band darīche āñkheñ mīche sochte haiñ
kab qāfila-hā-e-ḳhanda-e-gul ko in rāhoñ se guzarnā hai
is niilī dhund meñ kitne bujhte zamāne raakh bikher ga.e
ik pal kī palak par duniyā hai kyā jiinā hai kyā marnā hai
rastoñ pe añdhere phail ga.e ik manzil-e-ġham tak shaam huī
ai ham-safaro kyā faisla hai ab chalnā hai ki Thaharnā hai
har haal meñ ik shorīdgī-e-afsūn-e-tamannā baaqī hai
ḳhvāboñ ke bhañvar meñ bah kar bhī ḳhvāboñ ke ghaaT utarnā hai
is apni kiran ko aati hui subhon ke hawale karna hai
kanTon se ulajh kar jina hai phulon se lipaT kar marna hai
shayad wo zamana lauT aae shayad wo palaT kar dekh bhi len
in ujDi ujDi nazron mein phir koi fasana bharna hai
ye soz-e-darun ye ashk-e-rawan ye kawish-e-hasti kya kahiye
marte hain ki kuchh din ji len hum jite hain ki aaKHir marna hai
ek shahr-e-wafa ke band dariche aankhen miche sochte hain
kab qafila-ha-e-KHanda-e-gul ko in rahon se guzarna hai
is nili dhund mein kitne bujhte zamane rakh bikher gae
ek pal ki palak par duniya hai kya jina hai kya marna hai
raston pe andhere phail gae ek manzil-e-gham tak sham hui
ai ham-safaro kya faisla hai ab chalna hai ki Thaharna hai
har haal mein ek shoridgi-e-afsun-e-tamanna baqi hai
KHwabon ke bhanwar mein bah kar bhi KHwabon ke ghaT utarna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.