is bar mile hain gham kuchh aur tarah se bhi
is baar mile haiñ ġham kuchh aur tarah se bhī
āñkheñ haiñ hamārī nam kuchh aur tarah se bhī
sho.ala bhī nahīñ uThtā kājal bhī nahīñ bantā
jaltā hai kisī kā ġham kuchh aur tarah se bhī
har shāḳh sulagtī hai har phuul dahaktā hai
girtī hai kabhī shabnam kuchh aur tarah se bhī
manzil ne diye ta.ane raste bhī hañse lekin
chalte rahe aksar ham kuchh aur tarah se bhī
dāman kahīñ phailā to mahsūs huā yaaro
qad hotā hai apnā kam kuchh aur tarah se bhī
us ne hī nahīñ dekhā ye baat alag varna
is baar saje the ham kuchh aur tarah se bhī
is bar mile hain gham kuchh aur tarah se bhi
aankhen hain hamari nam kuchh aur tarah se bhi
shoala bhi nahin uThta kajal bhi nahin banta
jalta hai kisi ka gham kuchh aur tarah se bhi
har shaKH sulagti hai har phul dahakta hai
girti hai kabhi shabnam kuchh aur tarah se bhi
manzil ne diye tane raste bhi hanse lekin
chalte rahe aksar hum kuchh aur tarah se bhi
daman kahin phaila to mahsus hua yaro
qad hota hai apna kam kuchh aur tarah se bhi
us ne hi nahin dekha ye baat alag warna
is bar saje the hum kuchh aur tarah se bhi
- Book : Kuchh Aur Tarah Se Bhi (Gazal) (Pg. 94)
- Author : Hastimal Hasti
- Publication : Vani Prakashan (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.