is baat ka malal nahin hai ki dil gaya
is baat kā malāl nahīñ hai ki dil gayā
maiñ us ko dekhtā huuñ jo badle meñ mil gayā
jo husn tū ne shakl ko baḳhshā vo bol uThā
jo rañg tū ne phuul meñ Daalā vo khil gayā
nākāmī-e-vafā kā namūna hai zindagī
kūche meñ tere jo koī aayā ḳhajil gayā
qismat ke phoḌne ko koī aur dar na thā
qāsid makān-e-ġhair ke kyuuñ muttasil gayā
mujh ko miTā ke kaun sā armāñ tirā miTā
mujh ko milā ke ḳhaak meñ kyā ḳhaak mil gayā
'muztar' maiñ un ke ishq meñ be-maut mar gayā
ab kyā batā.ūñ jaan ga.ī hai ki dil gayā
is baat ka malal nahin hai ki dil gaya
main us ko dekhta hun jo badle mein mil gaya
jo husn tu ne shakl ko baKHsha wo bol uTha
jo rang tu ne phul mein Dala wo khil gaya
nakaami-e-wafa ka namuna hai zindagi
kuche mein tere jo koi aaya KHajil gaya
qismat ke phoDne ko koi aur dar na tha
qasid makan-e-ghair ke kyun muttasil gaya
mujh ko miTa ke kaun sa arman tera miTa
mujh ko mila ke KHak mein kya KHak mil gaya
'muztar' main un ke ishq mein be-maut mar gaya
ab kya bataun jaan gai hai ki dil gaya
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 115)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.