is baDe shahr mein benam-o-nishan main hi hun
is baḌe shahr meñ benām-o-nishāñ maiñ hī huuñ
Dar se is shahr ke ḳhadshoñ kī zabāñ maiñ hī huuñ
maiñ huuñ us ujḌe hue baaġh meñ be-rut kī kalī
jis kī har saañs hai tauhīn-e-ḳhizāñ maiñ hī huuñ
lafz chalte haiñ mire nutq se tīroñ kī tarah
dast-e-haq meñ jo kaḌaktī hai kamāñ maiñ hī huuñ
kyā ajab mujh se jo parḳhāsh hai shab-zādoñ ko
jis se larzāñ hai dil-e-shab vo azaañ maiñ hī huuñ
tāb-kārī mire jauhar kī hai ḳhurshed-e-vafā
bā.is-e-tāb-o-tavāñ māh-vishāñ maiñ hī huuñ
is baDe shahr mein benam-o-nishan main hi hun
Dar se is shahr ke KHadshon ki zaban main hi hun
main hun us ujDe hue bagh mein be-rut ki kali
jis ki har sans hai tauhin-e-KHizan main hi hun
lafz chalte hain mere nutq se tiron ki tarah
dast-e-haq mein jo kaDakti hai kaman main hi hun
kya ajab mujh se jo parKHash hai shab-zadon ko
jis se larzan hai dil-e-shab wo azan main hi hun
tab-kari mere jauhar ki hai KHurshed-e-wafa
bais-e-tab-o-tawan mah-wishan main hi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.