is baras KHoshon ke dane khet mil kar kha gae
is baras ḳhoshoñ ke daane khet mil kar khā ga.e
sīpiyāñ baaqī rahīñ motī samundar khā ga.e
ab fazā meñ DhūñDte rahiye vo paikar ab kahāñ
kaise kaise dil-nashīñ chehroñ ko manzar khā ga.e
paar jo utre vahī apnī kahānī kah sake
kaun jaane kashtiyāñ kitnī samundar khā ga.e
bhiiḌ meñ jab tak rahe shāmil rahe mahfūz ham
bhiiḌ se bach kar zarā nikle to patthar khā ga.e
jin ko qismat ne banāyā ban ga.e vo kuchh se kuchh
kyā kareñ vo jin kī tadbīreñ muqaddar khā ga.e
ab ḳhudā jaane masīhā kis liye ḳhāmosh haiñ
shor to ye hai ki bīmāroñ ko bistar khā ga.e
ehtiyātoñ par bhī 'afzal' laġhzisheñ haiñ nā-guzīr
har qadam par dekhte chalte bhī Thokar khā ga.e
is baras KHoshon ke dane khet mil kar kha gae
sipiyan baqi rahin moti samundar kha gae
ab faza mein DhunDte rahiye wo paikar ab kahan
kaise kaise dil-nashin chehron ko manzar kha gae
par jo utre wahi apni kahani kah sake
kaun jaane kashtiyan kitni samundar kha gae
bhiD mein jab tak rahe shamil rahe mahfuz hum
bhiD se bach kar zara nikle to patthar kha gae
jin ko qismat ne banaya ban gae wo kuchh se kuchh
kya karen wo jin ki tadbiren muqaddar kha gae
ab KHuda jaane masiha kis liye KHamosh hain
shor to ye hai ki bimaron ko bistar kha gae
ehtiyaton par bhi 'afzal' laghzishen hain na-guzir
har qadam par dekhte chalte bhi Thokar kha gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.